| |
FAZZAEL E MOLA ALI
Mai nay poucha settaray se keun ?
Tou kahen orr outtra nahi ?
Hanss kay bola hai Quraan mai
Ek darr e HYDERI ke sewa
Meri kaheen ko manzil nahi
Mai nay poucha ke ay zulfekar ?
Keun ALI pay he nazil howe ?
Boli lahraa kay naddan sun
Teray mola ALI ke sewa
Koi Fattah he kamil nahi
Mai nay poucha ay sooraj bata ?
Kesay palta howa toujh ko kea ?
Bola raab e ALI ke kasam
Raza e ellahi ALI ke sewa
Kise bhe banday ko hasil nahi
Mai nay poucha ay chanda batta ?
Teray chahray pay likha hai kea ?
Bola essm e ALI hai likha
Who fazelat ka baher e karran
Jiska koi bhe sahil nahi
May nay poucha ay aya e wela ?
Keun na uttri ALI key sewa ?
Boli kea tou nahi jjanta
Humaray mola ALI ke sewa
Dosaraa koi hammil nahi
Mai nay poucha aalam se bata
Keun ALI ko howa hai atta ?
Bola neshan e shoujat hoon mai
Be kararoun ko milta nahi
Kitnay jagay ya ghael howe
Yeah tou meray massael nahi
Mai nay poucha ay kaa’ba bata ?
Keun ALI toujh mai mowaleed howa ?
Bola marzi hai malik ke yeah
Yeah fazelat ALI he ko de
Iss may koi bhe shaamil naho
Mai nay poucha ay mulla batta ?
Meray mola se jjalta hai keun?
Bola haan bas yeahi bat hai
Mera sena jjalati hai jo
Tera mola tou hai shahenshah
Keun mera peer kamil nahi
By
Farhar zaidi
|
Back
|
|