Comments Inbox
| |
Garib
Garib hun garibi se mera naata hai yun
Khushnasibi ke zikr se bhi khauf khaata hun main
Numaaish yun to main karta hun khushi ki jaanib-e-hazrat
Do roti ke tukdon me hi phoola nahin samata hun main
Mehnat mein rakhta hun apna shauq betalab
Kai lafzo mein khud ko bekaar paata hun main
Taras kha na le duaon ka pyaasa koi
Ye soch kar chullu bhar paani mein doob jaata hun main
Garib hun bas yahi kasoor hai mera
Kae ilzaam sar pe liye bazaar jaata hun main
Bachhe hain mere kuch zaraa paak maile se
masumiyat ke sawalon se zara ghabra jaata hun main
Sadak ke sirhaane, andhera odhe huye
Jab thak jaata hun to so jaata hun main
Garib hun garibi se mera naata hai yun
Khushnasibi ke zikr se bhi khauf khaata hun main
|
|
|