Details |
Zaka Khalid Poem
"Zindagi bhr ka bas itna sa fasana hay,
Aaj nhi to kal hamain bhi chale jaana hay,
Talkh zindagi ke samandar main beh kar,
Hamain akhir main kinare se lag jaana hay,
Ye jo sooraj hay, har roz nai zindagi jeeta hay,
Ise bhi har sham maghrib main dhal jaana hay,
Saansain jitni hay jee lo maze lekar,
Akhir main sab ki saanson ko thum jaana hay,
Sharqi sare mosam tujhe yaaad krte hain,
Teri tarah hume bhi ye jism chor jaana hay....!
Copyright © Zaka Khalid | Year Posted 2013
|
Details |
Zaka Khalid Poem
Mohabbat ho nhi skti
Mohabbat ho hi jati hay,
Kabhi yaadon kay melon main
ya khushyoun kay jhamelon main,
Kahin jo chooorian khanke kuch is tarah jese
Koi jb dhun bajti ho kisi ke ajane se,
kabhi jo saans barhti ho kisi kay cha jane se,
Mohabbat ho hi jati hay,
Tasawwur main, khayalon main, jo aik chehra sa bas jaye
Aur dil angraiyan lekar armano ko gudguda jaye,
Mohabbat ho hi jati hay,
Barish kay un lamho main, jb paani dil main utar jaye
Aur yaad tumhari ajaye aur aansoo bn kar beh jaye,
Mohabbat ho hi jati hay,
Jb dil main saaz bajte hon, aur dharkan tere gun gaye
Jb ankhain khali khali hon, aur teri yaad se wapis bhar jaye,
Mohabbat ho hi jati hay.....!
Copyright © Zaka Khalid | Year Posted 2013
|
Details |
Zaka Khalid Poem
Light jb jb jati hay, Tb yaad tumhari ati hay,
Is garmi ke mosam main, youn pankha jhaslne ajao,
Jb pani kam kam ata hay, Tb yaad tumhari ati hay,
Youn pani pilane ko aksar, tum din dhale tb ajao,
Moahabbat ki tum pekar ho, Meri dunya ki tum jannat ho,
Meri dunya ko sanwarne ko, tum phir se aik baar palat ao,
Tum aksar meri yaadon main titli ki manind ati ho,
Pal kuch younhi bantne ko, Meray khwaabn main Tum ajao.....!
Copyright © Zaka Khalid | Year Posted 2013
|