Get Your Premium Membership

Tum

Aatish-e-junoon ki chingaari ho, beqaraar dil ka sukoon bhi Androoni sard ki thandak ho, barf ko pighlaati maum bhi Shab ki adhoori khwaab ho, sehar ka mukammal sapna bhi Khayaali ek khooobsurat uljhan ho, suljhi hui haseen jawaab bhi Dil ke taar se bajti tarannum ho, qalb mein chhupaane ki raaz bhi Bewaqt khaamoshiyon ki wajah ho, arz ki hui dilkash ghazal bhi Sannate mein saanson ki goonj ho, bandh darwaze ki dastak bhi Ankahee lafzon ki zubaan ho, khuli kitaab ki bayaan-e-daastaan bhi Azaad parindon ki parwaaz ho, insaani bandhishon ki aaghosh bhi Guzarte raaston ki pechchan ho, faasiley par ek an-chooyi manzil bhi

Copyright © | Year Posted 2014




Post Comments

Poetrysoup is an environment of encouragement and growth so only provide specific positive comments that indicate what you appreciate about the poem.

Please Login to post a comment

Date: 4/20/2014 10:02:00 PM
A very interesting poem . I loved the composition! Wah !!
Login to Reply

Book: Shattered Sighs